Thursday, June 16, 2011

Sabir Taji: Kalam of Hazrat Baba Zaheen Shah Taji (Rehmatullah...

Sabir Taji: Kalam of Hazrat Baba Zaheen Shah Taji (Rehmatullah...: "دوجہاں جلوہ جانا کے سوا کچھ بھی نہیں ہم نے کچھ اورنہ دیکھا تو خطا کچھ بھی نہیں متتفک عشق سے اس بات میں ہے عقل ذہین درد ہاتھ آے تو سب کچھ ہ..."

Tuesday, June 14, 2011

Zaheen-ul-Aolia, Zaheen-ul-Millat Wa Deen, Hazrat Shaikh-ul-Kabeer, Khowaja Jalaluddin, Peer Mohammad Baba Zaheen R.A. aap Hazrat Sultan-ul-Arifeen Hazart Baba Yousuf Shah Taji (Almaroof Baba Kareem) R.A. k sajjada nasheen hain.
Aap Ka Ism-e-Mubarak Hazrat Tuaseen Shah Hai. “Zaheen” aap kay walid-e-majid hazrat Deedar Bukhsh Shah Nagori R.A. nay aap ka takhallus enayat farmaya. Jab Aap 7 Sal Kay Thay Aap Nay Naatain Likhna Shoro Ki.

Baba Zaheen Shah Sarkar Farmatay Hain Kay Meray Walid-E-Majid Mujhay Baba Tajuddin Sarkar Kay Pass Lay Gay Thay Or Mujhay Baba Tajuddin Sarkar Say Bachpan Main Hi Mulakat Kar Sharf Hasil Ho Gaya Tha.

Hazrat Baba Zaheen Shah Taji Sarkar R.A. Sajjada Nasheen hain Hazrat Baba Yousuf Shah Taji Sarkar R.A. kay or aap Hazrat Baba Tajuddin Nagpuri R.A. Sarkar k khalifa or sajjada nasheen hain.

Baba Zaheen Shah Sarkar Khanka-e-Tajia, Mewashah, Karachi main jalwa farma rahay aap ka wisal 16 Shaban (1978) main howa aap ka Mazar-e-Akdas Khanka-e-Alia-o-Tajia, Mewashah, Karachi main wakay hai.

Baba Zaheen Shah Taji Sarkar nay bohat si kitabin likhi hain or aap kay 5 dewan hain 4 urdo main or 1 farsi main.
Aap apnay wakt kay bohat buland or maya naz shakhsiat hain.

Aap ny Mohiuddin Ibn-e-Arabi R.A. ki kitab "Fissasul Hikm" Ka tarjuma farmaya or saath tashreeh bhi farmai. Urdu zaban main ye pehla tarjuma hai jo k Baba Zaheen Shah Sarkar ny farmaya.

Aap ny Mohiuddin Ibn-e-Arabi R.A. ki ik or kitab "Fatuhat-e-Makkia" Ka bhi tarjuma farmaya or saath tashreeh bhi farmai. Urdu zaban main ye pehla tarjuma hai jo k Baba Zaheen Shah Sarkar ny farmaya.

Aap ny Hazrat Mansoor-ul-Hillaj R.A. ki likhi hoi kitab "Tauseen" ka tarjuma or tashreeh bhi farmai jo k aaj tk kisi ki bhi samjh nahi ati thi, jub aap k pass ye kitab lai gai to aap ny kitab ko dekh ker farmaya k "to bhi Tauseen or main bhi Tauseen", ye kitab nayab hai or is ka tarjuma bhi nayab hai jo k Baba Zaheen Shah Sarkar ny farmaya hai.

Aap ka kalam gazliat per mushtamil hai jo bohat mashoor hay jis ka ka nam "AYAT-E-JAMAL" hai.

Baba Zaheen Shah Sarkar k kalam ki dosri books ka naam "Lammat-e-jamal" jo k hamd-o-naat or mankabato per mushtamil hai, "Jamalistan" main aap ny nazam or gazliat ko shamil farmaya hai, "Ajmal-e-Jamal" katat per mushtamil hai or "Jamal-e-Ayat" farsi main gazliat or nazam per mushtamil hai.

Kuch Ayat-e-Jamal Say:

BAHAR-E-BAAG-E-GULISTAN-E-SARMADI HAM HAIN
KHUDA KAY SATH HAIN JO DAIM WO ADMI HAM HAIN

JIS ANJUMAN MAIN DILON KAY CHARAG JALTAY HAIN
US ANJUMAN MAIN CHARAGON KI ROSHNI HAM HAIN

BOHAT BAREY HAIN HAQEEKAT MAIN HAM ZAHEEN MAGAR
RAHAY MAJAZ MAIN SUB SAY BARI KAMI HAMI HAIN
.. Kalam of Hazrat Baba Zaheen Shah Taji Sarkar